Tere Jaisa Yaar Kahaan

Hey Guys, Welcome to the Blogpage once again.

No Introduction here...Let's Start.

Woh pehla din school ka,
Woh nayi kitaabon ki khushbu,
Woh pehli baar ek bench par baithna,
Woh pal jabse hua ek karwaan shuru.

Woh saath mein khidkiyaan todna,
Woh ek dusre ke ghar ko apna hi samajna,
Woh meri muskarahat mein hasna,
Mere rone se pehle khud ro dena.

Saathmein Padhai karne ki sochna,
Aur fir super mario 2 players mein khelna,
Din bhar mohalle ki sair karna,
Raat ko bhi kal subah ka plan karna.

Papa ke Darr ne bhi na aane di yaari mein koi kami,
Mummy ki aankhon mein bhi toh humaari yaari ne hi bhari nami,
Nadaaniyon mein tuj sang bas beet gaya haste haste woh Lamha,

Yaara teri yaari ko...maine toh khuda maana !!



School se jab college gaye,
Socha yaar toh saath hi hoga,
Laga tab dil ko pehla jhatka,
Jab mera kahin aur tera admission kahin aur laga.

Fir bhi dil mein tha ek ehsaas,
Dur hue toh kya,
Dost toh hamesha hote hai dil ke paas,
Najaane hua kya aisa,
Ki dheere dheere milne ki bhi na rahi aas.

Naye dost bante gaye,
Banti gayi ek apni alagsi hi zindagani,
Bade hone mein itna kho gaya,
Ki na yaad aaya tu..aur nahi apni woh kahaani.

College se nikle dil mein liye bada sapna,
Zimmedariyaan ne jab ghera tab ho gaya tha akela,
Sab anjaano mein dhundhne laga koi apna,
Tab fir yaad aayi teri...aur main mann hi mann muskaraaya.

Yaad karegi duniya ...tera mera afsaana.



Umar badi aur saath saath zimmedaari bhi,
Mulakatein toh na kar paaye lekin baatein toh badhi,
Jab bhi baat karu tujhse lagta hai jaise samay theher theher gaya,
Bas yaar..waqt kuch aur tha..aur ab waqt hi badal gaya.

Bachkaani baton se ab apni baatein bhi gambhir hone lagi,
Aae mere yaar meri toh daadhi bhi safed hone lagi,
Fir aaj baaton mein ek apna wala apnapan hai,
Teri beti ko bade hote dekh,
Meri beti bhi badi lagne lagi.

Plan toh kaafi banaye humne ki mile kabhi ek baar,
Hamesha main hi na aa paya,
Tu toh hamesha tha taiyaar,
Fir bhi na ki tune koi shikva na koi fariyaad,
Agli baar pakka milenge bas yehi rehta hai tera aitbaar.

Aaj jab yeh likh raha hoon toh mushkil ho gaya shabdo ka baahar aana,
Dilne kaha ruk, samaj, tere yaar ke baare mein tujhse na ho paana,
Socha dimaagse hi puchlu kya hai uska bhi afsana,
Par mere yaar,
Yeh yaari mein saala kahaan apna dimaag lagaana.



Tere jaise yaar kahaan,
Kahaan aisa yaarana,
Yaad karegi duniya,
Tera mera afsana!!!


Dilse likha hai,
Shayad shabdo se samaj Gaye hoge,
Agar aapka bhi hai mere jaise yaar,
Toh share and like zaroor karoge.

Cheers!!

Comments

Post a Comment

Post Your Comments Here !!!

Popular posts from this blog

A Road trip

Waves

Valentine's Day